Powered by Blogger.
Meri aur mere RAJA ki Prem Kahan - Tarannum Khan - Page 2

hello freindzzzzzzzz
mai fir aa gai apni aage ki prem kahani sunane

Dheere dheere haamra pyar itna badhta gaya ki mai apni sabhi saheliyo ko apne sabhi dosto ko kinare karne lagi , mujhe raja ke siwa kuch dikhta hi nai tha, yahan tak ki mera ghumna firna mauj masti sab band ho gaya, mai sirf aur sirf raja se baat karna chahti thi , har waqt mai usike saath bitana chahti thi, mera pura free time raja ke liye hi hota tha, yahan tak k mai khana tak nai khati thi usse baat karne ki dhoon me , jab wo puchta tha ke khana khai ya nai to mai bolti thi haan khali khana aur mai use khhana khan ke liye bolti fir wo khata , uske khate tak mai bhi khati thi hum baat karte the, meri zindagi mano jannat se bhi zyada khubsurat ho gait hi raja ke pyar aur uske saath ki wajah se ,

Aise hi ek deen mere ghar mere Ammi ko pata chal gaya ki mai kisi ladke se baat karti hun to mere ammi ne mjhe bahot zyada daanta aur bola ki ab baat mat karna, maine Raja ko ye baat nai batai ke mere ghar me pata chal gaya hai aur mujhe daant bhi pari hai worning bhi mili hai ammi se, maine Raja ko is liye nai bataya k mujhe dart tha ke raja mjhse baat karna kam kar dega aur merese door ho jaega, jo ki mai nai chahti thi, mai raja se bahot pyar kart thi uske bina meri zindagi ka ek pal bhi bai guzarta tha, meri jaan ban gaya tha raja aur aaj bhi hai,

Aise hi ek deen jab mai ghar me thi tab raja ne morning me 10 baje call kiya, mai fresh ho rahi thi to meri sis ne call receive kiya to raja ne bola ki reshma se baat karni hai meri sis ne bola yahan koi reshma nai rahti , to raja ne phon kaat diya, usne thodi der baad apne ke dost se uske number se call karwaya, fir uske dost ne bhi puchha ke reshma kahan hai usse baat karni hai meri sis ne use danta aur bola ki yahan koi reshma nai rahti aur usne wrong number lagaya hai, fir jab mai fresh hoke aai to meri sis ne mujhe bola ki kisi ladke ka call aa raha hai bar bar kisi reshma ke liye, kaun hai ye rehsma, mai boli ke reshma meri ek friend hai aur usne apne ek dost ko mera number diya hai, to mere ghar me bole ke kisi bhi ladke ko number kyun de deti hai, maine kuch nai bola, fir jab mai ghar se office ke liye nikli tab maine raja ko call kiya , usne mujhe bola ki tumhare ghar wale hi tumhara naam nai jante hai kya, to maine bola ki meri kisi cosin ne call receive kiya tha aur asko mera real name nai maloom hai , mujhe ghar me pinky bolte hai to asko wo pata hai, fir baat yahin pe khatam ho gai, hamara relation to mano saatve aasman me tha, hum bahot khush the, fir maine raja ko milne ke liye bola, usne bola ki abhi mere exam start hone wale hai , exam finish hone ke baad aunga milne , maine bola theek hai, isi beech mujhe apni family ke saath 10 days ke tour ke liye Rajasthan Ajmesh sharif jaipur jana hua, mai chali gai, wahan se bhi jab time milta mai use call kart thi aur wo bhi karta tha, mujhe wahan uski bahot yaad aati thi, jaipur me jahan jahna hum ghumne gae wahan mujhe raja ki bahot kami mahsoos hoti thi, fir 10 days baad hum wapas aaye, aate hi maine raja ko call karke jee bharke baat ki fir uske baad office gai,
Ek deen raja ko kisi kaam se meri city ke side wli city jana tha, maine raja ko bola ki aap raipur se hokar hi wahan jaoge to mujhse aate ya jaate time mil ;lena aur mai tumahre liye kuch bana ke bhi laungi khane ke liye, usne bola theek hai mere liye apne haath se bana ke leke ana, maine uske liye aaloo gobhi ki sabji aur puri aur gujhiya banai thi kyunki usko bahot pasand thi wo ,us deen mai bahot khush thi kyunki mai pahli baar use dekhne wali thi, maine deen bhar bahot taiyari ki thi uske liye, yahan tak ke maine uske liye market jake shopping bhi karli thi, bahot se gifts liye the maine uske liye, but jab evening me uska call aya to usne bola ki aaj nai mil paunga bahot thak gaya hun, fir kabhi milne aa jaunga, uska ek dost bhi aya tha uske saath me , sanju naam tha uska, sanju ne bahot bola raja se ki chal 5 min ke liye mil lena, but raja nai mana, maine raja ko bahot manane ki koshish ki, bahot boli ki tum jahan bologe mai wahan aa jaungi but wo mai mana, sanju bhi use samjhata raha but raja to apni baat pe adig tha wo kahan aane wala tha, to maine bola theek hai mat aao , kahin khana kha lena aur chale jana wapas, maine phon kaat diya, fir usne call kiya maine reciv hi nai kiya call, wo bar bar karta raha but maine reciv nai kiya, fir usne msg kiya ke wo milne aa raha hai, maine koi rpl nai diya fir sanju ne apne mobil se call karke bola ki raja milne aa raha hai batao kahan aana hai, to maine bola ki mai koi baat nai karna chahti aur na hi ab milna chahti hun mai raja se, use bolo wo chala jaye chup chap, aur bilaspur pahuch ke call karne ko bola , wo chala gaya, bilaspur pahuch ke night me 1 baje raja ne call kiya ki wo theek se pahuch gaya hai aur so raha hai morning me call karega mujhe , maine bola theek hai aram karo kal baat karenge hum, fir usne dusre deen mujhe manaya aur sory bhi bola, raja ka wo dost jiske saath raja aya tha , uska naam sanju hai wo kabhi kabhi mujse baat karta tha, jab bhi raja aur mai baat karte the jab sanju saath hota tha tab wo raja se mobile leke mujhse b! aat karn e lag jata tha, wo mujhe bhabi bhabi bolta tha mujhe bahot achcha lagta tha bhabi word sunke, kabhi kabhi sanju kuch zyada hi baat karne lagta tha, mai sanju se raja ki pasand napasand, aur raja ke bare me bahot kuch pucha kart thi aise karte karte sanju aur mere bich bahot baate hone lagi, maine sanju se kabhi galat matlab se baat nai ki thi aur na hi usne kit hi, but kabhi kabhi mujhe aisa lagta tha raja ko sanju se mera baat karna pasand nai hai to mai khud hi nai kart thi sanju se baat, but sanju hi raja ka mobile leke mujhse baat karne lag jata tha , aise karke waqt guzar raha tha, ek deen maine raja ko bata diya ki mera naam reshma khan nai hai balki tarannum khan hai , aur mai job bhi kart hun , to raja bahot bhadak gaya mujhpe , itna zyada gussa hua ki usne ye tak bol diya ki mai tere saath nai rah sakta tune mujse itna bada jhut bola hai, mai bahot ro rokar raja ko samjha rahi thi ki maine jaan bujh kar jhut nai bola tha , aur mere mann me aaj tak ye baat bhi nai aai thi ki maine apna naam aur job ke baare me usse chhupaya hai, maine to raja ke pyar me itni doob gai thi ki mere dilo dimag se ye khayal bhi nikal gaya tha ki maine usse kuch chhupaya bhi hai aur baad me mujhe iski itni badi qeemat chukani paregi, mujhe iske badle raja ka bharosa khona parega zindagi bhar ke liye, maine kabhi khwab me bhi nai socha tha, mai to raja ke pyar me puri duniya ko bhul gai thi yahan tak ke khud ko bhi bahot piche chhor diya tha maine uske liye, aur usne itni si baat ke liye mujhe zindagi bhar ke liye jhoota qaraar de diya, kuch time tak wo mujse naraz tha but fir usne bhi bola ki wo mere bagair nai rah sakta aur mai usse dobara koi jhoot na bolu, maine bola theek hai .

Aise karke raja fir se pahle jaisa ho gaya tha, wo mere bina ek pal bhi nai rah pata tha , mai bhale rah leti thi kyunki mujhe raja aur apne muhabbat pe pura bharosa tha ki hum kabhi alag nai honge, but pata nai raja ko aisa lagta tha k mai usse dorr ho jaungi , bas yahi soch kar raja mujhe chhorta hi nai tha, yahan tak ki mai jab office me kisi important work me busy rahti thi tab bhi raja ye chhata tha ke mai usse baat karun, wo apni kasam de dekar mooches baat kartne par majboor karta tha, aur mai bhi uski har baat manti thi, jaise ki mai paida hi raja ke liye hui thi, mai jab bhi office se niklati thi raja mujhse 1 ya adha ghanta baat karne ke liye bolta tha fir ghar jane deta tha, mera office mere ghar ke paas hi tha aur wahan ke sab log mere pahchan ke the, aur mujhe aur meri family ko sab jante the, is liye mujhe office ke nikal kar raste me rook ke raja se baat karna sahi nai lagta tha, but raja ko isse koi matlab nai tha, wo to bas ye chahta tha ki mai usse baat karun , bahot pyar karta tha wo mujse , yahan tak ki jab uski aur meri kisi baat ko leke fighting ho jati thi aur mai gusse me ye bol deti thi bhul jao mujhe aur ab call mat kana to wo itna paagal ho jata tha ki khana nai khata tha , drink kal leta tha, uske sabhi dost mujhe samjhate the ki bhabi aap raja ko kabhi mat chhorna wo aapke bina nai jee paega, wo aapse bahot pyar karta hai, mai bolti ke mai bhi to raja se pyar kart hun but wo meri majboori samajhta hi nai, har waqt baat karne ke liye bolta hai, mai study bhi kart hun job par bhi hun to use samajhna chahiye na, to uska dost sanju samjhata tha raja ko, to raja ko ye achcha nai lagta tha ki sanju use kuch samajhaye mere baare me , wo sanju ki zuban se mera naam bhi nai sunna chahta tha, raja ye bolta tha kit u meri hai bas meri , mai tujhe kisi aur ki nai hone dunga, raja ka paagal pan yahan tak pahuch gaya tha ki wo bolta tha kit u mooches shadi nai karegi to mai tujhe maar dalunga aur khud bhi mar jaunga, ya fir tujhe utha ke le jaunga aur shadi kar lunga, mai raja ko samjhat! i thi ki mai tumse hi shadi karungi aur tumhara saath kabhi nai chhorungi, tab jake raja relax hota tha,

ohk freindzzzzzzzz

aage ki prem kahani kal

waise kal sunday 25 september mere janu ka b,day tha aur night me maine use sabse pahle b.day wish kiya call karke, use achcha laga but fir se usne mujhse zyada baat nai ki aur mera phon rkah diya, fir jab maine 10 min baad use dobara call kiya to uska number busy bataya, fir thodi der baad maine call kiya ro usne call uthaya aur mujhe bahot danta ke mai baar baar call karke pareshan q kar rahi hun ,maine bola tum mera call kaat rahe ho aur kisi aur se baat kar rahe ho to usne mujhe bola ki mai kisise bhi baate karun tujhe kya problum hai , maine bola mujhe koi problum nai hai bas itna bata do ki kisse baat kar rahe ho to usne nai bataya aur muhjse bahot ladai ki aur mera phon kaat diya, mai raat bhar bahot roi,

any wayzzzz
byeeeeeeeee
tc to allllllllllllllll







0 comments:

Post a Comment

wibiya widget