Powered by Blogger.
love is reely difficult - avntika

hii frnd ...
actuly mai bhi apke tarh kuch baate share karna chati hu....i m also felling luv wid someone ..but dere is lots of problms..i m belong to a punjabi family ..i love someone who is belong to muslim family...he knws i love him very much ..i knw he also luv me ..but hamare payr ke bitch asia lagta hai tufaan hai ..hum apna mind bhi asia bana chuke hai we r nt made fr ech othr ..but hum ek din dono dono ko dekhe bina nhi rehe sakte ..kaise rehe lenge pura zindagi alag alag.....actuly we r culing in our office ..asia to kisi bagwan ne nhi kaha hai ki ap dusre logo ke sath pyar nhi kar sakte ..to hum insaan ese kyu nhi samj pate ....plzzz guys help me to save my love ...kya decied karo kise chuno ..plzz sugest me....







10 comments:

Anonymous said...

Pyar koi jati dehk kar nahi hota pyar ho jata h mera kehna h aap apne family ko samjaye ki uske sath aap bahut kus rahinge aap usi se sadi kro q ki pyar sirf ek baar hota h cahe sadi se pehle ya sadi ki baad

Anya Shandilya said...

Dear Avntika, meri story bhi aap ki hi trah hai chaho to aap pdh b skte ho mene apni story bhi shair ki hai. aap dono to alag-2 dharm ko manne wale ho bt hm to ek dharm ke hai pr sirf gotrah ki wajah se meri family hmara sath nahi de rahi thi bt mere relation ko 6 saal ho chuke hai aur mene apne pyar ka hath thama hai kyuki mene unke sath hr lamha jiya hai fir chahe wo dukh ka ho ya fir khushi ka aur hm dono ek dusre ho bohot achchi trh jante bhi hai to is liye main tumhe bs yahi kehna chahungi ke fesla soch samajh kr lena pyar krna aur life jeena vese to dono ek hi chiz hai bt apne aap ko is baat k liye achchi trh se teyar kr lena k agar pyar chahiye to use puri trh se apnana padega aur agar nahi kr skte to plz ekdm se unse dur hoke apne aapko busy rakhkho taki unki kami mehsus krne ka time km se km mile jisse aap apni zindgi me bohot jld hi dhal jaoge and be tc

avntika said...

thanks....but actuly i m the only one child of my mom dad..esliye mujhe thora sa tens hai ki woh apne ap ko samal payenge ya nhi..mai apne pyar ko nhi chor sakti kyuki pyar baas ek baar hota hai or ye mera true love hai

Unknown said...

Aap apne pyar ke sath zindagi guzaro lekin apne family ke khilaf jakar nahi.
Aap apne parents ki only child ho.

Aur agar unke khilaf jakar kuch karogi to wo apne aap ko sambhal nahi payenge.

Aap apne parents ko samajho shayad wo maan jaye. Is se aap apne pyar ke sath bhi rah paogi aur apne parents ke sath bhi.

If u want to be my frnd on fb.
My username: Anand.kori14

Anonymous said...

dear avntika phli bat jo m khna chahti hu vo ye h ki aap apne parents ki ikloti santan h, aapka phla pyar vo ldka nhi aapke mom-dad h, unhone aapko pala-posa itna bda kiya h, m ye nhi khti ki aap us ldke ko bhul jaeye, aap apne mom-dad ko usse milvaiye uske bare me btaiye agar unhe lgega ki vo aapke layak h to vo aapki shadi usse jrur krwa denge bcoz koi bhi mom-dad apne bachhon ki aankhon me pani nhi dekhna chahta, m God se pray krungi ki vo aapko itni shakti de ki aap apne mom-dad ko convience kr le. mere best wishes aapke sath h.

san said...

i know i m breaking ur heart but this is true ....es duniya me pyar bahut kam hai log pyar ko bahut bahut kam mante hai ...aur ye baat sirf hum aur aap aur wo log jo pyar karte hai wo jante hai ke pyar kitna khubshurat hai ...hum logo ko is duniya ko ye btana hoga par kaise ..iski shuruaat hame kani hogi ..hume he kurbani deni hogi tabhi aage ja kar hum duniya me pyar spreed kar payenge ..uske baad koi bhi maa- baap
love relation ko apnayenge ....

pankaj arora said...

dear..avantika,,apki story..me jo questionmark lga h..vo shayad meri life me bhi h..bt kya kare ,,hmme pne parents ki traf hi jana chaiye.. m ye nhi keh rha ki ap unhe bhule .. aap bas unki yaado k sahare jeena si khiye. hm do parivaro k against jaye es achha hm khud hi ek gmm bhari zindagi gujar le..bs unki t yado k sahare.. muje to pta h..pyar hota hi aisa h...ye hamesha adhura hi rehta h..isiliye m to puri koshish krta hu ki uske bare me sochu hi nhi...pankaj 08764320743

Anonymous said...

sonia said.....
me aapse yahi kehna chahungi ki jab hum kisise pyar karte hai to hum sab kuch bhul jaate hai.shayad family ko bi.....par hume aisa nhi karna chahiye.mana ki pyar bahot khubsurat ahsas hai pyar hum cast nhi dekhte.par jab pyar ke rishte ko naam dene ka tym aata hai to..uske liye family ko sab batan padta hai....or iss tarah ke reletion ko family aspect nhi karti...or fir hume bahot pain hota hai.isse hum apni family se bi thode door ho jate hai.
soo.finaly aapko unko samajna padega or khud pe bi kaabo karna padega...baad me bahot taklif hogi.isse acha hai abi se khud ko rokna padega..ek dum baat karna band mat karna but dhere-dhere kam kar dena..isse zada taklif nhi hogi aapko......take care ur self....

Atif said...

Soniya aapne bilkul thik kaha hame apni family ko kabhi nahi bhulna chahiye jabki unka sara pyar ek hi bachche ke upar ho...

avntika said...

Thanksss all of u ....nw i understand mujhe kya karna chiye ..mujhe lag raha hai ek ke liye 10 logo ko sacrifies karna tik nhi hoga ....lekin mujhe nhi pata ki mai apna maan ko kab tak etna kathor banake rak paungi..but i ll try..bcoz ye shahed mere or mere pyar ke liye sahi ho....
thanks again

Post a Comment

wibiya widget