Powered by Blogger.
meri kahani - vinod kumar

Dil ke tise
Jai Mata Di saathiyo
mera naam vinod hai,
baat teen saal pehli ki hai jab mai gaav se chennai aaya mai aur mera chhota bhai gaav me hi padhai krte the,baki sb yahi Chennai ke(gummidipoondi) me hi rehte the… mere bhaiya ji ke ek dost the, chuki o dono ek hi company me kaam krte the isliye unki dosti bahut gehri thi,kahi ghumne firne jaana ho to saath me hi jaate the,bhaiya g k dost ki family aur humari family saath sath gumne jate the chahe wo koi mandir ho ya beech ya aur kahi….bhaiya ke dost ki do behne hai ek bilkul simple to dusri bahut hi chanchal…aur unkle aunty ….unme se ek ka naam shraddha hai jo ki chanchal aur saundarta ki murat hai….. hum log akshar hi kahi na kahi gunme jate the…sb saathme..mai thoda bolne batane me kuch teez hone ke sath sath karan unke ghar me sb se jaldi hi ghul mil gya tha…….baat un dino ki jb mai eletricition ka kaam chood diya tha kuch prblm thi isliye….maine dosre job ke liye apply kiya tha…kaam na hone ke karan mai pura din ghar me hi rehta tha..to bhaiya k dost key aha chala jaya krta tha …unki behn shraddha aur mai ek hi swabhab hone ke karan hamari bahut jamti thi….pura din unke hi ghar me hi rehta tha tv dekhte ya unki mummy se ya aur logo se baat krta rehta halaki baat mai ki krta tha o log to kewal srota the. jab koi bulata to hi ghar aata nhi to saam ko hi aata dhire dhire shraddha aur mai apne ghar ki baato ke alava ek dusre ki pasand na pasand aur edhar udhar ki baate krne lage jo baat o bolti mai bahut dhyan se sunta aur meri wo…dhire dhire hum log ek dusre ki taraf khichne lage…mai jb bhi uske ghar jaata wo sara kaam dham thod kr mere paas baith jaati aur hamari baate suru ho jati …..mai khus mizaz hone ke karan akshar hi kuch joke ya koi sayari hi suna diya krta tha aur sbko hasata rehta tha…jb ghar ke log bahar market wagerah jaate to hum dono bhaith ke baate kiya krte ab to akele me baat krna jyada achha lagne laga tha, na jane humare bich ye kaun sa bandhan bandh gaya tha pata nhi ek ajib sa lagav tha hum logo k bich ,ab tak hum be prwah panchiyo ki tarah ! udd rahe the.aur hmre bich kya rista hai humne kbi is bare me socha hi nhi, hr ghadi ek dusre ko dekhte rehne ki chahat baat krne ki mohlat ki talas rehti thi..din aise hi beette gaye…phir achanak o mujhse dur dur rehne lagi,bolti aap mujhse baat mat kiya karo…maine bola thik hai tumhe nhi baat krni to mat karo pr mai tumse baat karunga,,, tb tak mera job bhi lag gaya tha rbn India me branch manager ka….pr mai uske ghar ab jb bhi 10-5 minute ka time milta tha din me ek baar jarur jata tha kyuki mera office ghar se 25 km ot 10 se 6 baje tak hai isliye jyada samay nhi milta tha pr Sunday ko jyada tar samay uske ghar hi bitata tha pr usse baat nhi krta tha kabi kabi indirect hi kuch bolta tha… pr baki sb se baat kiya krta tha,,ab to use direct dekh bi nhi pata tha kyuki agar mai andar rehta to wo bahar rehti or mai bahar to o andar ,dhire dhire humara milna bilkul hi kam ho gaya..ab uske ghar jaana b achha nhi lagta tha na jane kyu hamesa rone ko ji chahta tha pr kyu kuch samajh nhi pa raha tha mai, khair din aise hi beette gaye fir kuch dino me uski maa se pata chala ki o na jane kyu udaas udaas rehti hai,aur uhi bewajah roti rehti hai,,kuch dino me aisa haal tha ki pura din wo roti hi rehti,,,mujhe b bahut dukh lagta ye sb sun kr,ek din himmat kr ke mai uske ghar gaya to uss samay bhi o ro hi rahi thi maine uski mummy se pucha kya hua o boli kuch batati nhi hai kehti hai ki mera rone ka maan krta hai isisliye mai roti huu,,,to main jakar uske samne chair pe bhaith gaya aur wo neeche baithi thi ,maine puncha kya baat hai kyu ro rahi ho to usne bola aap mujhe kya maante ho ,to mai kuch samajh nhi paya kya bolu,,,,barbas hi mere muh se nikal gaya tum rajan bhaiya ki behan ho meri b behn huee na ….to wo mera pair pakad kr khub jor jor se rone lagi…boli pr mai aapke bare me kuch aur soch rahi thi maine pucha kya to usne bataya nhi… pr mere maan me hamesha ek sawal mujhe khaye ja raha tha kya mai sach me use behan manta hu…mujhe samajh nhi aaraha tha ki mai kya karu pr usne na jaane maan me socha rakh! a tha pi chle saal ke sawan ki baat hai ye iske do din baad ki rakhi ka tyohar tha subh hi meri sister se rakhi badhwaya aur ghumne ke liye dosto ke yaha chala gaya ….sam ko lag bhag char baje wapas aaya to aate hi mere mobile ki ghanti baaji maine dekha shraddha ka hi fone tha,usne bola mere ghar aiye mujhe apko rakhi badhni hai,,mai socha mazak kr rahi hai, aur mai uske ghar ki taraf chal diya jyo jyo uska ghar paas araha tha mere kadam mera saath nhi de rahe the dil me ajib sa dar lagne laga tha ,,,kaise bhi mai uske ghar pahuch gaya..ghar me wo aur uski badi behn hi thi uski bdi behn ko mai deedee hi bolta tha,mai chair me baith gaya to uski didi aayi aur mere ko rakhi bandhi main e b khusi khusi badha li, thodi der me wo nikli safed rang ka soot me aise lag rahi thi ki mano koi pari zamin per utar aayi ho,,,,mai to usko dekhne me hi magn tha ki ,usne mera hanth pakadkr hanth sidha karne ko kaha to maine nhi kiya usne fir kaha fir b maine nhi kiya br wo bar bar kehne lagi to majburi me maine hanth sidha kr diya to o sach much ke rakhi lekar mere hanth me badhne lagi….mai chahte huye b use rok na saka ,,,,,,us waqt aisa lag raha tha ki mere sarir se koi mera pran nikal raha hai ankhe anshu se bhar gaye the pr dekho meri majburi mai ro bi nahi skta tha.. saala dil khun ki ansu ro raha tha pr lab khamosh the……us din se bas mujhe apne aap se nafrat ho gayi aisa lag raha tha ki meri duniya hi uzad gayi na kisi se baat krna na khana na pina hasna bolna to dur ki baat kahi akele me chhup ke baith kar rote rehna mere vajah se sb paresaan rehne lage mummy, papa,bhaiya,bhai,behan, kisi se koi baat nhi paagalo ki tarah bag uthata to office me chup chap baitha rehta aur ghar der se jata ,mere ghar ke bagal me ek chhoda bachcha hai vikas jiske saath mai khub masti krta tha,wo bechara roj mere paas aake khada rehta puchta bhaiya kya hua aur bahut tarah se hasane ki kosis krta pr lgta tha ki meri to bhaonaye hi mar gayi ho….. age ki kahani fir kabi dosto ab mujhse likha nhi jar aha……………….



:For Supporting This Blog Please Click on Adds showing left side:







0 comments:

Post a Comment

wibiya widget