Powered by Blogger.
Love Story - Armaan

There was something between us. Something very special.. But what was that … ?
= kuchh to tha hum dono ke bich, Something very special..
Par wah kyat tha…?
Ye baat tab ki hai jab mai village me pdhta tha.daily mai father k sath apne khet par jaya karta tha.
kheto ki hariyali,,jeev jantu ka bolna,chidiyo ka chahchana,ye sub mujhe Achhe lagte the.
kabhi kabhi mai khet par akele bhi jaya karta tha,khet aur,bagiche me ghumna,achha lagne laga tha.
kabhi garden me Aam todna, kabhi mali ko paresan karta,kabhi niche baidhe kisi panchhi ko pakdne ki bekar koshis,
Mai sochta tha,ki enme se koi meri pakad me kyo nhi aata,
panchiyo ki awaz sun kar sochta, kya ye bhi hamari tarh baat karte hai,kya enhe bhi chot lagne pe dard hota hai
fir ye kisko btate honge etc.....pata nhi kya kya sochta rahta tha...
Mai khet par ek din akele ghum raha tha,achank maine ek hiran ke bache ko dekha,jo thik se chal nhi
pa rha tha,lekin usme gajab ki furti thi,mai kanha kam tha.
mai bhi use pakadne ki koshis me uske pichhe bhagne laga
aur last me safal bhi raha,
aisa lag rha tha ki thodi der pahle hi esne janm liya hai,lekin eske pair pe chot ka
nishan kaisa?eski maa kanha hai?esko chhod kar kanha chali gyee?ye us se alag kaise ho gya
bahut sare question mere mind me udh rahe the par mai unhe janna zaruri nhi samjha,
Mai waha se use lekar bhagna behtar samjha,
agar kisi bache ko khilona mil jaye to wo bahut khush hota hai,mujhe to jita jagta khilona mil gya tha,
bahut hi qute bahut hi payara,chhoti chhoti aankhe chhote chhote pair,bilkul mulayam uske bal,bahut hi sundar
us time use dekhne ki jo meri nazar thi us nazar se,duniya ka sabse anmol tofa tha wo mere liye
mai uski sundrta ka byan nhi kar sakta,meri khusi ka thikana nhi tha,aisa lag rha tha ki es samay
mujhse ameer koi nhi, mai bahut khush tha.
Mai Maa ke dar se,apne pocket money se uska marham patti krwaya,doctor ne use do tike bhi laga diya,wo etna chhota tha ki kuchh kha nhi sakta tha,maine use ruee
se dudh pilaya,ghar me ek jagah chhupa kr school chala gya
us din mera man pdhai me bilkul nhi laga, lagta bhi kaise mujhe uski tension jo ho rahi thi,chhuti hote hi mai sidha
ghar aaya,ja kr dekha bilkul dhik tha wo

lekin jiska dar tha wahi huwa,n jane maa ko kaise pata chal gya,pata to chalna hi tha aakhir mai kab tak
chupa ke rakhta
use
lagi gussa hone,kahne lagi_ jnab ab pdhai likhae nahi karenge,ab ye hiran ka bachha palenge
ab enko do char hirn ka bachha la kr de do.Bolne lagi ja esko chhod ke aa janha se le kar aaya hai
lekin mere kano par ju tk nhi renga
mai apni maa ki baate suni ansuni kar diya,maa ne kafi jor lagya ki use kisi aur ko de diya jaye
ya kanhi jhod diya jaye,lekin wo sub mere zidd ke aage bekar raha


dhire dhire mera time uske sath bitne laga,ab wo dudh pine ke sath kuch khane bhi laga tha
uska chot bhi sahi ho gya tha,ab wo bilkul sahi tha,ab mujhe koi tension nhi thi
us time mera koi dost tha to sirf wahi
Achha din kab nikal jata hai pat hi nhi chalta,mere sath bhi kuchh aisa hi huwa
dekhte dekhte wo kafi bada ho gya,
ab hum dono ek sath ghumne jate the wanhi janha se mai usko laya tha,humdono me akshar reace
lagti thi,lekin wo hamesh jeet jata tha,mere se kanhi jada wo shrarti tha
Meri maa bartan saf karke charpee par rakh deti thi,wo chrpaee ke niche ghus kar,chrpaee se brtan gira kar
bhag jata tha,maa jor se chilati Ruk ja nlayak abhi batati hu mera sara bartan gira diya, uske uppar gussa karti
jab wo khana banati to unke pass aakar baith jata tha,maa bolti lag gyee bhukh aa gye pyar jtane
phir use kuch khane ko deti,khte hi kuch shrart karke bhagta tha,kabhi pani gira jayega,kabhi aata
kabhi roti.
Maa bahut gussa hoti mai ek din ese mar dungi,Nahi to le ja kar jhod aa ese kanhi......mujhe bada bura lagta tha...

Mere us dost me ek aur sarart thi, wo kabhi dog ke pakad me nhi aata tha,dodta hi etna tez tha,dodta kaise nahi
wo esi bat k liye to jane jate hai,Run karna ,uchhlna yahi to unki pahchan hoti hai,
usme ekburi aadat bhi thi wo chote bacho k uppar se chalang laga jata tha,jis se bache dar jate the
kuch rone bhi lagte the,phir bhi wo unhe nhi jhodta tha,maa kabhi kabhi use marti bhi thi
kabhi rasi me bandh bhi deti thi

ek din mai,maa mera chota bhai chhat par khel rahe the wo bhi tha,maa ne genhu dal rakha tha sukhne k liye
use ekatha kar rahi thi,mai mera chhota bhi khel rahe the hamare sath wo bhi khel raha tha.
achank usne mere bhai k upar se chhlang lgya,aur ye kya wo chhat se niche gir gaya...
Mai bhagta huwa niche gaya,mai use lekar apne god me baith gaya,usne thoda sa aankh khola
mujhe dekha,jaise kah raha ho albida dost,apna sath yanhi tak tha aur ek tarf ko uska sar jhuk gya,dekhte dekhte usne mere hatho me
apna dum thod diya,aur mai kuch nhi kar saka
mai jor jor se rone laga,rota bhi kaise nhi meri duniya jo uzad gaye thi, mere sabse anmol tofa
lut gya tha,mujhse chhin gya tha
maine apne ghar ke piche use dafna diya,mai kai din school nahi
gaya,mujhe kuchh bhi achha nhi lagta,
mai ek din shaam ko apne chhat par baitha uske bare me soch raha tha,kitna achha tha,mere sath rece lagta tha
maa ko paresan karta tha,maa ka khayl aate hi pata nhi mujhe kyo gussa sa ane laga
maa hamesha jalti thi us se
tabhi mujhe laga ki uske kabar pe koi baitha hai,andhera ho gya tha kuchh saf dikh nhi raha tha
mai jaldi us jagah per gaya,dekha maa thi
jo uske kabar pe baith kar ro rahi thi,tab mujhe ehshas huwa ki mujhse kanhi jada meri maa
use pyar karti thi
My name is Armaan & my Mil ID
Arma786@yahho.com







5 comments:

zoya said...

zoya.Armaan aap ka uska sath bs etna he tha par aap parshan mat ho our aap ke maa be bahut pyar karte the par maa ka kam he nraj hona hota hai aap s jada dukh aap ke maa ko hai our aap ke story bahut alag hai hum ko bahut pyare lage

Anonymous said...

Dil ko choo gai yaar,.....

Luv guru said...

Vry nyc yarr mera toh rona nikal aya.......

Anonymous said...

Kabhi kabhi life me aisa ho jata hai
maine tumhari story apne pure faimly ko bataya sub ne ro diya yaar
very nice
aapki story bilkul alag hai

Anonymous said...

Nice very nice story,real me maine ro diya yaar






Happy rose day

Post a Comment

wibiya widget